KYA HAI ARTICAL 35A JAMMU AND KASHMIR 2019
ARTICLE 35A JAMMU AND KASHMIR
Artical 35A har koi iske bare me janna chahta hai..
toh ayi ye samjhte hain ki kya hai akhir Artical 35A.
NOTE:- Agar aap bhi is artical 35A k bare me kuch jante hain to neeche comments section me zaroor bataye.
Article 35A
JANTE HAIN KYA HAI YEH ARTICAL 35A ISKO SAMJHNE SE PEHLE ISKI HISTORY JANTE HAIN:-
Artical 370 k Mutabik Artical 35A indian constitution me joda gaya tha..
Jammu kashmir k mashhoor Neta Shekh Abdulla aur us time k Prime minister Jawaharlal Nehru k beech 1949 main hue samjhote k Mutabik Article 35A ko constitution me joragaya.
jammu kashmir k local rehne wale sabhi log is kanoon me ate hain 20vi shatabdi ki shuruaat me hi Raja hari singh ne is ko lagu kiya tha.
jammu kashmir 1947 tak ek Rajshahi huqumat me shamil tha.
ALSO READS:-
KYA HAI UNNAU RAPE CASE KA SACH?
ASAD UDDIN OWAISI ANSWER TO MODI GOVERNMENT 2019
- ARTICAL 370?
is article ki hi wajha se 1956 me jammu kashmir ka alag constitution lagu kiya gaya tha.
Article 35A |
Is artical 35A k mutabik jammu-kashmir government k pass apne State me rehne wale logo k liye kanoon taye karne ka right hota hai aur wahan k local rehne walo ko milne wale rights aur wahan ki policy bhi artical 35A k mutabik taye ki jati hai.
Ye kanoon 1954 me Rashtrapati k order se shamil kiya gaya tha.
ALSO READS:-
PM MODI TWEETS AFTER TRIPLE TALAQ
PM MODI AND MAN VS WILD
- ARTICAL 35A MAIN SHAMIL BAATE
aur aese sabhi log jo 10 ya usse zada saal se State me bas chuke hain or wo State me sahi tarike se properties k malik hain.
inme aese log bhi shamil hain jo pakistan me jakar bs gaye hain.unhe bhi State ka local mana gaya hai. State chhorkr janewale logo ki 2 pidiyo ko iske mutabik shamil kiya gaya hai is artical main.
- STATE ME REHNE WALE LOGO KO YEH BAATE MANNA ZAROORI HAIN
Is kanoon k mutabik jo log State k local rehne wale nahi hain unhe wahan pr rehne ki permission nahi hai.State ki government jobs, scholarship aur wahan ki properties ko kharid or beechne ka haq bhi sirf wahi k rehne wale logo ko hi hai.
iske elwa agar koi ladki kisi bahar k state k ladke se shadi karti hai to Wo State ki or se milnewali sabhi policy se door hojyegi.
2002 me bhi high court ne is par ek faisla sunaya jisme is kanoon k ek hisse ko badal diya gaya tha. highcourt ne elan kiya tha ki State ki Ladkiyan agar kisi bahar k ladke se shadi krti hai. to tb bhi unko unke sabhi rights milenge.
lekin aesi ladkiyo k baccho ko wahan rehne wale logo ko milne wali policy se alg rehna hogaa.
Artical 35A ko hatane ki wajah ye bhi hai ki is artical ko sansad ke zariye nhi laya gaya.
is artical ki wajah se pakistan se aye logo ko aj bi unke rights se alag rakha gaya hai or in logo me se zada tar log pechre or dalit hindu hai.
Jammu Kashmir me rehne wali aurton ka kehna h ki yaha paida hone ke bawajud agar ye bahar ke ladko se shadi kar leti h to unka unke state ki property main koi haq nahi rehjata uske alawa unke bachho ka property me hissa dene ka bi haq khatam ho jata hai,aur bahar se aye huye logo se shadi karne ki wajah se unki state me koi value nhi reh jayegi,jab ki ladko ke sath aisa nhi hai us state ke ladke agr dosre state ki ladki se shadi karte h to us ladki ki state me wahi value rahegi.
is tarha Artical 35A jammu Kashmir ki betiyo ke sath gender discrimination krta hai is liye isko hayae jane par majuda bjp government me kanoon pas karke hatane ki taiyari karli hai.
NOTE:- SAWACH BARAT ABHIYAN SE JODE OR DESH KO SAWACH BANYE RAKHNE ME APNA YOGDAN ZAROOR DE.. ZADA SE ZADA PED LAGAYE OR ENVIRONMENT KO POLLUTION FREE KARNE ME DESH KI MADAD KARE.
Comments
Post a Comment