For a healthy monsoon Chicken soup recipe and Protein Rich Bean

Chicken soup recipe and Protein Rich Bean For A Healthy Monsoon

SOUP

Barsat ho ya thand ka mausam ek garam soup peena shayad zindagi k un acche palo me se ek hai jiske liye ham sabhi taraste hain.to aaj is recipe ko jante hain or isko bana seekhte hain taki ham bhi monsoon me aesi laziz soup ka maza lesake.


IMPORTANT POINTS:-


1.beans or chicken se kafi acchi quantity me ham protein hasil karsakte hain.

2.Monsoon k time cravings k liye soup sabse acha zariya hai.

3.yeh recipe banana bohut asan hai or isko ap aram se ghar par bana sakte hain.


Jab hawa thandi charhi ho to soup peene ka maza hi kuch or hota hai.Barsat ya thand k mausam me ek garam soup peena shayad zindagi k un acche palo me se ek hai jiske liye ham sabhi taraste hain.soup ko kai wajha se health k liye acha mana jata hai.
Is ki ek wajha ye bhi hai k soup me paani ki quantity zada hoti hai islye ye apki body ko hydrate rakhta hai.
Soup apke liye ek acha source hota hai healthy rehne ka.iski sabse achi bat ye hai k isko ap ek Bowl k sath kahi bhi behtkar peesakte hain or ap isko apne bistar par bhi bade aram k sath peeskte hain.

soup me zada tar apko sabhi kuch dekhne ko miljega jese sabzi,meat,food grains etc.. ye sabhi cheezi milkar apki body ko ek proper diet phonchne me madad karti hain.

ALSO READS:-
Asad-uddin-owaisi-answer-to-modi

Bohut sare log jab bhi soup banate hain to wo usme sabziyan dalna pasand krte hain.magar soup insan ko tabhi pasand ata hai jab wo apni health ko lekar pareshan ho ya usko sirf kuch khane ka dil ho. Soup banane k liye ham chicken,beans,fish, ko milkar apne soup ko protein se bharsakte hain.

Agar ap bhi apne soup ko protein se bharna chahte hain to hamare pas apke liye ek dam sahi recipe hai jo apke soup ko protein se bhardegi.Bean Chicken soup.



  • Isse phele ham soup banane ka tarika dekhe chaliya pehle jante hain k ye soup hamko kya nutrition dega.
Chicken Soup

Beans k peed (plant) protein k liye ek accha source hai. Is recipe me istemal hone wale red beans protein se bhare hote hain. Is red beans k 100gm hisse me 21gm protein hota hai or achha quantity me potassium bhi hota hai (according to  US department of agriculture).
potassium hamare heart k liye bohut acha hai.or chicken khane se hamko ache khasa protein milta hai islye lag bhag duniya bhar me chicken bht shauk se khaya jata hai.

Chicken k 100gm hisse me 24gm protein hota hai or isme amino acid ki ek puri chain hoti hai jo hamari body ko faeda phonchati hai.



1. beans ko ubale or tamatar ko tokdo me katkar halki anch par bhune.

2. phir chicken ko achi tarhan se saaf karke chhote chhote tokre karle..or payaz,lehsun,or tamatar k chhote tokre karke chicken me milade.

3. ab jo beans apne ubale the uska pani chicken me milade or kuch der k liye usko pakne de.

4. ab ek Bowl me namak, kalimirch k sath uble hue beans dalkr salad taiyar karle.

5. ab ek Bowl me apna paka hua soup nikalle or usme jo salad apne taiyar kari thi wo dalde or kuch olive oil garam karke upar se dalde.

6. apka soup taiyar hai 


1.preparation time -----------------10 minutes
2.Cooking time------------------------40 minutes
3.Total time-----------------------------50 minutes

INGREDIENTS
100gm-------------------------------------Red beans
50gm---------------------------------------beans sprout
100gm--------------------------------------tamatar
100gm--------------------------------------chicken
25gm----------------------------------------payaz
10gm----------------------------------------lehsun
20gm----------------------------------------celery
  • Optional chicken stock
3gm----------------------salt
2gm-----------------------pepper
10gm---------------------sugar
1----------------------------chamcha olive oil




NOTE:- This content including advice provides information only.so always consult a doctor for more information. Daily News does not claim any responsibility for this information..

Comments

Popular posts from this blog

PM MODI TWEETS AFTER TRIPLE TALAQ 2019

ABOUT LUCKNOW

Best 5 budget phones under 10000